Friday, November 15, 2013

Geet ko uthne do

A beautiful poem "geet ko uthne do" on 'Khumari' recited by Osho: 
http://www.youtube.com/watch?v=HjRvf_c55yY 



geet ko uthne do 

aur saaz ko chid jaane do 

chuppi ko chune do lafzon ke narm taaron ko

aur lafzon ko chuppi ki ghazal gaane do

khol do khidkiyan sab aur uthado sab parde

nayi hawa ko zara band kamre mein aane do 

chat se hai jhank rahi kabse chandni ki pari

usko aangan mein utar aane do 

fiza mein chaane lagi hai bahaar ki rangat 

juhi ko khilne do champa ko mehek jaane do 

geet ko uthne do 

aur saaz ko chid jaane do

zara sambhalne do meera ki behekti paayal

zara gautam (Buddh) ke sadhe paaon behek jaane do 

geet ko uthne do 

aur saaz ko chid jaane do

haste hothon ko zara chakhne do ashkon ki nami 

aur num aankhon ko zara phirse muskurane do 

dil ki baaton ko zara jharne do har singharon se 

bina baaton ke kabhi aankh ko bhar aane do

raat ko kehne do kaliyon se raaz ki baatein

gulon ke hothon se un raazon ko khul jaane do 

zara zameen ko ab uthne do apne paaon par 

zara aakash ki baahon ko bhi ab jhuk jaane do 

geet ko uthne do 

aur saaz ko chid jaane do

zara sambhalne do meera ki behekti paayal

zara gautam ke sadhe paaon behek jaane do 

kabhi mandir se bhi uthne do azaan ki aawaaz 

kabhi mazjid ki ghantiyon ko bhi baj jaane do 

pinjare ke toton ko dauharane do jhoothi baatein

apni maina ko to par khol chahchahaane do 

unko karnedo murda rasmon ki barbadi ka gum 

hamein nayi zameen naya aasmaan banane do 

ek din unko utha lenge sar aankhon par

aaj zara khudke paaon to sambhal jaane do 

geet ko uthne do 

aur saaz ko chid jaane do

zara sambhalne do meera ki behekti paayal

zara gautam ke sadhe paaon behek jaane do 

zara saagar ko baras jaane do banke baadal

aur baadal ki nadi saagar mein kho jaane do 

zara chanda ki narm dhoop mein sekne do badan

zara suraj ki chandni mein bheeg jaane do 

usko khone do joki paas kabhi tha hi nahin

jisko khoya hi nahin usko firse paane do 

geet ko uthne do 

aur saaz ko chid jaane do

zara sambhalne do meera ki behekti paayal

zara gautam ke sadhe paaon behek jaane do 

are haan haan hue hum logon ke liye deewane

ab logon ko bhi zara hosh mein aane do 

ye hai sach ki bahot kadvi hai mai is saaki ki

rang layegi gar saanson mein utar jaane do 

chalkenge jaam jab chayegi khumari ghata 

zara maikhano ke paimano ko to sambhal jaane do 
zara saaki ke tevar to badal jaane do 

geet ko uthne do 

aur saaz ko chid jaane do

zara sambhalne do meera ki behekti paayal

zara gautam ke sadhe paaon behek jaane do 

na rahe maikhana, na maikhwaar, na saaki, na sharab

nashe ko aisi bhi ek had se guzar jaanedo 

usko gaanedo uske geet mere hothon se 

aur mujhe uske sannate ko gungunane do 

zara sambhalne do meera ki behekti paayal

zara gautam ke sadhe paaon behek jaane do 

geet ko uthne do 

aur saaz ko chid jaane do

============ 

wo ghadi jab meera hosh mein aa jaati hai
aur buddh hosh kho baithte hain uska naam hai khumari

No comments: